You are on page 1of 2

Terey Bina

Hum ju kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina


laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina

ab tu raat bi kut jati hay din bi guzer jata hay


sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina

terey janey pey ju rim jim si thi ankhoon mein ab


thaher gia hay ankhoon ka woh samander terey bina

waqt nay bohut kuch sikhla dia hay mughey


ab tu wuqt bi guzar jata hay terey bina

shahid muhabbat kereny kay adaab hi na they


ab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina

ju guzar gia hay waqt, so guzar gia dost


ju reh gia hay, guzar jaey ga terey bina

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon


Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab


Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey


Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri


Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya

You might also like