You are on page 1of 6

Kya Thi Uski Hasti Ki Meri Hasti Mita Di Usne Kya Thi Uski Kimat Ki Meri Boli Laga

Di Usne, Ishq Ki Bazi Lagane Ka Hunar Kuch Aisa Tha Uska Ki Ek Katra Ansu Se Meri Kaynat Hila Di Usne. Quaid Tha Mai Bandish E Diwaro Mai Or Ek Aah Bhari Or Sari Diwar Gira Di Usne, Darta Tha Mai Dil Lagi Ke Nakhoon Se Bhi Mere Hatho Mai Mohobbat Ki Talwar Thama Di Usne. Hum Hi Ne Sikhaya Use Bijali Girane Ka Yeh Fun Hum Par Hi Apne Husn Ki Bijali Gira Di Usne, Sook Tha Hame Aag Se Khelne Ka Ek Daur Mai Or Hamari Hi Sakhsiyat Khaak Mai Mila Di Usne. Tarashi Hamne Uski Taqudir Numa E Taaj Ke Or Hamari Hi Taqudir Gardish Se Mila Di Usne, Sajaya Uski Doli Ko Jahaan Ke Har Ek Phool Se Unhi Phoolo Se Meri Mayaat Saja Di Usne.

Palko ke kinare jo Bheege hi nhi, Wo sochte hain hum Roye hi nhi.

Punchte hain Khwab mein dekhte ho kiska Chehra, Wo kya jaane ke hum kitni raaton se soye hi nhi. Peekar Sharab Hum Unko Bhulane Lage Sharab Mai Apne Ghum Milane Lage,

Kambakt Sharab Bhi Bewafa Nikli Nashe Mai Wo Or Bhi Yaad Aane Lage.. Humne Chaha Hai Jinhe Wo Lakho Mai Ek Hai, Humne Jana Hai Jinhe Wo Dil Ke Bhi Nek Hai, Unki Diwani Toh Saari Duniya Hai, Par Hamari Toh Duniya Wo Hi Ek Hai Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain, magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain, Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain, Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain

Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain, kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain, Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain, Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain

Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage, Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta, Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta, Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le, Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,

Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama, Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka, Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama __________________

DIL ME HOTA TO MUMKIN THA NIKAL BHI JATA AB TO WO SHAKS BAHUT DOOR TALAK HAI MUJHME! ke me jo tez chalta hoon nazare choot jate hain, ke main jo roop garta hoon to sanche toot jate hain jo rota hoon to akar log kandha thapthapate hain jo hansta hoon to aksar log mujhse rooth jate hain.. . .

sazi hai khushnuma mehfil sabhi dildaar bethe hain jidhar dekho udhar hi ishq ke bimar bethe hain hanseeno ki adaon pe sabhi dil haar bethe hain hazaron mar-mite aur sekron tayaar bethe hain. . . Khwaab itne to dagabaaz na the mere kabhi khwaab itni to meri neend nahi chhalte the raat ki baat kya ik daur me ye khanabdosh din nikalte hi mere saath saath chalte the

main inhe jab bhi panahon me jagah deta hua apni palko ki munderon pe saza leta tha poora mausam inhi khwaabon ki sugandhon se saza

mere chatke hue nagmo ka maza leta tha

kuch hawaaon ke parinde inhi khwaabon me lipat chaand ke sath meri chhat pe aa ke milte the ye aandhiyon ko dikha kar muraad aur ye aaj ki shab inki himaakat dekho

itni minnat pe bhi ye ek palak bhar na ruke inki aukaat kahaan ye hai mukaddar ka fareb itni zillat ki mere ishq ka dastaar jhuke ye bhi din dekhne the aaj tumhare bal par

khwaab ki murda riyaayaa ke bhi yun par nikale tumhari baatein nigaah vaade to tum jaise the tumhaare khwaab bhi tum jaise hi shaatir nikale... Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi, Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai, Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai, Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,

Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein, Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai, Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon, Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat, Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan, Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir, Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!! Meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota, Kabhi ik nazar chahat se dekh hi liya hota. Hum bhi tujhe ishq-0-mohabbat se aashna karte, Bas ik baar apne dil mein aane to diya hota. Kya jata tumhara bas hume hi dil se khushi milti, Apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota.

Dekh lete zara gaur se shayad, Tumhare haath ki lakhiron mein hamari kismat ka bhi diya hota. Jee nhi skta to jeene ki tamanna chod de Behte behte jo ther jae wo dariya chode de Phool tha mai mujhko ek kaatan bna kar rakh dia Aur ab katein se kehte ho ki chubna chod de

You might also like